Sunday, October 22, 2006

Aakhir Kyon....

Tanha hoon, par har pal saath dene ko tanhaai hai,
pyaasa hoon, par har waqt hi aankh bhar aayi hai,
Kadam ruke hain par unse mil ke aane ko dil karta hai,
kitabein likh sakta hoon pyaar pe par do labz kahne se dil darta hai

Aisa kyon hai ki sab kuchh hoke bhi kuchh khali khali sa hai,
hamesha dhoondhati hai nazarein par pata nahi wo cheez kya hai,
Kyon aankhein kisi ke intezar mein bekaraar hoti hain,
raat bhar jaagte hue khwabon mein soti hain

Par is tarah jeene ka bhi apna hi ek maza hai,
jaisi bhi sahi, kam se kam jeene ki ek wajah hai.

0 Comments:

Post a Comment

<< Home