Thursday, November 02, 2006

Yaad

Bahut yaad aai hai mujhe apne gaanv ki,
Ghar ke pichhwade wale ambuwa ke chhanv ki,

Chimniyon ke dhuein ke beech,
Chhaparo se uthati bheeni bheeni mahak ki,
Bijali ke pankhon ke neeche,
Purwaiya ki hanak ki,
Room heater se garm kamre mein baithe,
Chaupal ke alaav ki,
Bahut yaad aai hai mujhe apne gaanv ki,

Talab ke kinare wali bagiya se,
Amroodon ke churane ki,
Nadi mein utrate hue,
Door tak chale jane ki,
Shahsr mein motaron ke po po ke beech
Munder ke kauwo ke kaanv kaanv ki,
Bahut yaad aai hai mujhe apne gaanv ki,

Makai ki roti ke sang,
Sarso ke saag ki,
Haari beemari mein,
Gaanv bhar ke bhagambhaag ki,
Daudti hui is jindagi mein,
Us shaanti aur tharaav ki,
Bahut yaad aai hai mujhe apne gaanv ki,

Dadi ki dular ki,
Baba ki manuhaar ki,
Chhote chhote jhagdon mein upaje,
Gaanv walon ke pyaar ki,
Hawai jahaj mein udate samay,
Bailgaadi ke us hilaav ki,
Bahut yaad aai hai mujhe apne gaanv ki,

Mineral water peete hue,
Kuyein ke meethe pani ki,
Chulhe par roti pakati,
dadi aur nani ki,
computer par game khelte samay,
gilli dande ke daanv ki,
Bahut yaad aai hai mujhe apne gaanv ki,
Ghar ke pichhwade wale ambuwa ke chhanv ki,

0 Comments:

Post a Comment

<< Home